Android phone ko computer kaise banaye
![]() |
by Sagar Shekhar |
Dosto iske liye aapko sirf window Launcher app apne phone me install karna hai or iske baad aapke phone ka system bilkul computer desktop ki tarah kaam karega. Dosto actually ye ek theme app hai isko use karne se aapke phone ka look bilkul window 7 ki tarah ho jata hai lekin aap apne phone me computer ke software nahi use kar sakte.
Dosto ye trick bahut easy hai aapko sirf mere bataye instructions ko follow karna hai.
Step 1. Sabse pahle niche diye link se Window launcher app download kare.
(Important Note : is app ko sirf aap hamare link se hi download kar sakte ho kyonki abhi Google playstore par available nahi hai.)
Step 2. App download karne ke baad isko apne phone me install karna hai.
Step 3. Jab ye app puri tarah install ho jaye to isko open kijiye or open karte hi aapka phone computer desktop ki tarah dikhayi dega.
Congratulations !
Ab aap phone ko computer desktop ki tarah use kar sakte ho.
Agar aap mujhse koi question puchna chahte hai to comment karke mujhe jarur bataye Me aapki puri help karunga.
Thank you Readers…….
Comments
Post a Comment